ishq ka koi khair-khwah to hai tu nahin hai teri nigah to hai arz-e-gham kyun na un se kar dekhun ab bhi thodi si rasm-o-rah to hai zindagi ek siyah raat sahi aashiqi ek charagh-e-rah to hai roz-o-shab ki haqiqaten malum ek tamasha-e-mehr-o-mah to hai tab-e-jalwa mujhe nahin na sahi lekin ek jurat-e-nigah to hai aur iqbaal-e-jurm kya ho 'shakil' thartharaate labon pe aah to hai