sina madfan ban jata hai jite jagte raazon ka jaanchna zakhmon ki gahrai kaam nahin andazon ka sari chabiyan mere hawale kin aur us ne itna kaha aathon pahar hifazat karna shahr hai nau darwazon ka samne ki aawaz se mere har ek rabte mein hail daen baen phaila lashkar anjaani aawazon ka aankhen aage badhna chahen pichhe rah jati hai nazar palkon ki jhaalar pe numayan kaam sitara-sazon ka yun to ek zamana guzra dil-dariya ko khushk hue phir bhi kisi ne suragh na paya dube hue jahazon ka