ishq karo to ye bhi socho arz-e-sawal se pahle hijr ki puri raat aati hai subh-e-visal se pahle dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin aankhen pagal ho jati hain ek khayal se pahle kis ne ret udai shab mein aankhen khol ke rakkhin koi misal to hona us ki misal se pahle kar-e-mohabbat ek safar hai is mein aa jata hai ek zawal-asar sa rasta bab-e-kamal se pahle ishq mein resham jaise wadon aur khwabon ka rasta jitna mumkin ho tai kar len gard-e-malal se pahle