ishq karta ki tere hijr se nafrat karta bol kis aas pe main teri himayat karta zindagi roz naya rup dikhati mujh ko aur main hans ke use khwab wadiat karta main ki ek ism-e-mohabbat hun falak se utra main tere wird mein rahta to karamat karta dasht ke par naya dasht basata dil ka phir tere hijr mein dil khol ke wahshat karta halqa-e-nind ke manzar mein udasi thi 'said' main wahan khwab sunata to qayamat karta