ishq karte hain to ahl-e-ishq yun sauda karen hosh ka sarmaya nazr-e-husn-e-be-parwa karen hum na hon lekin zamane mein hamara nam ho aisi hasti chahiye to mar ke hum paida karen hai khud-arai kisi ki shan-e-khuddari ke sath yani un ko hum na dekhen wo hamein dekha karen dars-e-irfan ke liye har zarra hai tur-e-kalim dekhne wale magar pahle nazar paida karen shekh ko jannat mubarak hum ko dozakh hai qubul fikr-e-uqba wo karen hum khidamt-e-duniya karen ek dil hai ek hasrat ek hum hain ek tum itne gham kam hain jo koi aur gham paida karen 'ahsan'-e-ranjur ko duniya se kya hai wasta aap ne bimar dala aap hi achchha karen