bagulon ki safen kirnon ke lashkar samne aae qadam utthe jidhar zakhmon ke patthar samne aae thakan se tut kar jab khwab-e-rahat ki tamanna ki rida-e-gham liye kanton ke bistar samne aae darida baadban kamzor kashti raat tufani dahan khole syahi ke samundar samne aae talash-e-ab-e-haiwan mein jahan mere qadam pahunche wahan zahrab se labrez saghar samne aae gharib-e-shahr kis ke aastane par sada deta kai ghar rah mein dekhe kai dar samne aae mere khuddar lab par jab kabhi lafz-e-ana aaya meri qimat lagane kisa-e-zar samne aae mizaj aisa hai kuchh 'mahir' murawwat aa hi jati hai koi shatir agar masum ban kar samne aae