ishq ke nam pe daim rahe zindan aabaad chaak-e-taza se rahe mera gareban aabaad qais ke baad kisi ne kabhi puchha hi nahin hum ko hi karna pada phir se bayaban aabaad takhtiyan latki hui nam ki darwazon par hum ne dekhe hain yahan kitne hi zindan aabaad hum ne rakkhi na kabhi apne gharondon pe nazar hum ne dekhe hain sada khwab ke aiwan aabaad kahin iman mein ilhad mila hai shamil nazar aaya hai kahin kufr mein iman aabaad kabhi tufan mein qatra bhi nahin tha shamil aur dekha hai kabhi qatre mein tufan aabaad ek duniya hai yahan ek zamana hai yahan yunhi har aan rahe ye mera diwan aabaad