ja-ba-ja aag bichai thi kabhi

ja-ba-ja aag bichai thi kabhi
apne bas mein bhi khudai thi kabhi

mere aaine mein khud mere siwa
koi surat nazar aai thi kabhi

dushmanon se bhi tha yarana mera
doston se bhi ladai thi kabhi

rang chubhte hain jo ab aankhon mein
apni taswir banai thi kabhi

jab se hain apne parae bezar
rasm duniya ki uthai thi kabhi

hum ne bhi dasht ko mahkaya hai
hum ne bhi khak udai thi kabhi

khod kar zer-e-zamin kuchh na mila
apni shamshir chhupai thi kabhi

ab dahakti hai dobara 'hamdam'
aag sine mein dabai thi kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close