ishq ke tute hue rishton ka matam kya karen zindagi aa tujh se phir ek bar samjhauta karen zindagi kab tak tere darmandgan-e-arzu khwab dekhen aur tabiron ko sharminda karen mud ke dekha aur patthar ke hue is shahr mein khud sada ban jao aawazen agar pichha karen na-umidana bhi jine ka saliqa hai hamein aaine tute hue dil mein saja kar kya karen chand zarre dil ke raqsan hain fazaon mein abhi lao in zarron mein hashr-e-arzu barpa karen khun-chakan aankhon se apni khush nahin hum bhi magar chaak daman ho to si len chaak-e-dil ko kya karen bujh gae ek ek kar ke sab aqidon ke charagh ai zamane ki hawa ab ye bata hum kya karen aafiyat dushman tha dil-na-aqebat-andesh hum ab kise ilzam den 'akhtar' kise ruswa karen