dil mein hamare ab koi arman nahin raha wo ehtimam-e-gardish-e-dauran nahin raha pesh-e-nazar wo khusraw-e-khuban nahin raha meri hayat-e-shauq ka saman nahin raha samjha raha hun yun dil-e-muztar ko hijr mein wo kaun hai jo gham se pareshan nahin raha dekha hai main ne gesu-e-kafir ka mojaza tar-e-nafas bhi mera musalman nahin raha ashkon ke sath sath kuchh arman nikal gae bechainiyon ka dil mein wo tufan nahin raha ai chaarasaz sai-e-musalsal fuzul hai tera mariz qabil-e-darman nahin raha us ki hayat us ke liye maut ai 'aziz' jis par ki us nigah ka ehsan nahin raha