ishq ki apni zaban hoti hai jo nigahon se bayan hoti hai thi kisi daur mein ulfat baham aaj logon mein kahan hoti hai dil ko hoti hai yaqinan taskin panjgana jo azan hoti hai jab bhi badhta hai sitamgar ka sitam to jasarat bhi jawan hoti hai murtakib ho jo gunahon ki 'zaki' zindagi wajh-e-ziyan hoti hai