ai gard-baad tarf-e-chaman tuk guzar kar bulbul ke par pade hain gulon par nisar kar aae the aish ke liye so tu na yan mila phir gham-kada ko uth chale hum apne haar kar kya muskura ke tale hai ab phir kab aaega dil be-qarar hota hai kuchh to qarar kar daghon se dil ke sina to hai rashk-e-lala-zar han ashk-e-surkh tu bhi to apni bahaar kar dhajji bhi ek chhodi na daman-o-jeb ki dast-e-junun ne luta mujhe tar tar kar wo bhi na aaya aur nazar aane se rah gaya dekha maza na aur dil ab intizar kar be-chiz to nahin ye 'hasan' us gali mein roz ja ja ke baat karte har ek se pukar kar