ishq ki koi intiha hi nahin is maraz ki koi dawa hi nahin aae dekha mujhe hanse aur phir chal diye kuchh kaha suna hi nahin us se nazren milin thin pal bhar ko dil kahan kho gaya pata hi nahin main nazar mein basi hun man bhi lo aaina jhut bolta hi nahin us ko zid hai ki ab nahin milna dil hai pagal ke manta hi nahin mujh se mujh ko chura ke le jata pahle tum sa koi mila hi nahin kitne din ho gae ki phone tera kan mein shahd gholta hi nahin raat ek ajnabi mila tha 'wafa' nind phir kya hui pata hi nahin