ishq ki rah mein jo dar-o-rasan hai kyun hai

ishq ki rah mein jo dar-o-rasan hai kyun hai
sar katane ki har ek dil mein lagan hai kyun hai

jis ki khushbu se moattar hain wafa ki rahen
mere sine mein wo zakhmon ka chaman hai kyun hai

jis mein likkhi hai tawarikh kai sadiyon ki
waqt ke sar pe padi aisi shikan hai kyun hai

kya use ishq se mahrum rakha qudrat ne
shams ke sine mein jo itni jalan hai kyun hai

mujh pe bandish ye ki us par main ghazal bhi na kahun
gul-badan hai wo agar ghuncha-dahan hai kyun hai

mujh se puchho na sabab main na bata paunga
us se milne ka agar mera ye man hai kyun hai

us ko malum hain duniya ki misalen lekin
ishq ke sahra mein jo dil ka hiran hai kyun hai

kitna maghrur tha wusat pe jo apni lekin
mere ek naqsh-e-qadam par wo gagan hai kyun hai

jis ke padne se 'nadim' apna badan khil jae
ishq ki lau mein bhala aisi kiran hai kyun hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close