khuda kare ki nazar kaamyab ho jae teri nazar mein mera intikhab ho jae wo samne mere be-parda aa gae lekin maza to jab hai ki phir se hijab ho jae kiye the wasl ke wade hazar tum ne magar main aaj aa hi gaya lo hisab ho jae bikher rukh pe zara apne is tarah zulfen ki zulf chehre pe tere naqab ho jae ilahi wasf ho dil mein to mere itna ho bharun jo chullu mein pani sharab ho jae