ishq ki rah mein mushkil kabhi aisi to na thi be-qarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi dastan-e-dil-e-bismil kabhi aisi to na thi guftugu-e-lab-e-qatil kabhi aisi to na thi aaj shayad kisi kashti ka yahan dam tuta sogwari lab-e-sahil kabhi aisi to na thi shakh-e-gul hai na nasheman gham-e-sayyaad alag muzmahil jaan-e-anadil kabhi aisi to na thi kuchh dikhai nahin deta hai andhere ke siwa uf ye gard-e-rah-e-manzil kabhi aisi to na thi aasman par hain nigahen na samundar ki taraf qaum haalat se ghafil kabhi aisi to na thi aaj har lafz tera kyon hai riya-kar-e-jahan guftugu nazish-e-mahfil kabhi aisi to na thi rukh-e-mahbub ki zulfon ka ghanera baadal ye ghata pyar ke qabil kabhi aisi to na thi mushkilen yun to ai 'mukhtar' bahut aai hain han magar rah mein mushkil kabhi aisi to na thi