qatre qatre ko kabhi tarsa na tha main ki dariya tha koi sahra na tha hasraton ki jhil par kohra na tha ham-safar suraj tha main tanha na tha chehra chehra tha shanasa shahr mein main kisi ki aankh ka tara na tha pattharon ke shahr mein shisha badan main hi tha jo tut kar bikhra na tha basti basti be-hisi ki dhul thi ab ke sawan tut ke barsa na tha chandni ki dhup thi chaaron taraf shahr-e-dil mein chand sa chehra na tha us ka chehra hai ki 'nashtar' ki ghazal aaine par tabsira likkha na tha