ishq ki rah mein yun had se guzar mat jaana hon ghade kachche to dariya mein utar mat jaana panchwin samt nujumi ne ishaara kar ke shahzade se kaha tha ki udhar mat jaana hum inhi tapti hui rahon mein mil jaenge koi saya tumhein roke to thahar mat jaana ghar ke jaisa kahin aaram nahin paoge koi kahta hai ki ab chhod ke ghar mat jaana sar uthae hue chalna na kabhi duniya mein kabhi maqtal mein jhukae hue sar mat jaana ishq ke tum to taraf-dar bahut ho 'wali' baat pad jae to ai yar mukar mat jaana