ishq ki rasm nibhana thi nibha li main ne dard ki basti basana thi basa li main ne wo zarur aaega ek aas laga li main ne ghar ki har chiz qarine se saja li main ne aaj phir chae banate hue wo yaad aaya aaj phir chae mein patti nahin dali main ne aag dahki to nikalna pada kamre se magar us ki taswir kisi tarah bacha li main ne nam us ka hi liya karti hai wo sham-o-sahar ek maina jo bade pyar se pali main ne wo to mahfil mein hi elan-e-wafa kar deta baat mat puchhiye phir kaise sambhaali main ne ghar ki buniyaad ke patthar bhi sadak par hote wo to achchha hua diwar bacha li main ne