ishq ko dil mein chhupa lete hain kaamil kyunkar un par aasan hua karti hai mushkil kyunkar hadaf-e-nawik-e-mizgan-o-kaman abru tha na tadapta shab-e-furqat dil-e-bismil kyunkar apne bimar-e-mohabbat ko bhi lete jao tum chale jate ho pahlu mein rahe dil kyunkar sar kata kar tere kuche mein yahi dekhunga surakh-ru hota hai khanjar tera qatil kyunkar mirat-e-dil ki safai wo kahan paega aaina hoga rukh-e-yar ke qabil kyunkar ye tamasha bhi mere dil ko jila kar dekho shama hasrat se jali bar-sar-e-mahfil kyunkar bahr-e-ulfat mein bhi wahshat thi dil-e-gham-ghin ko rakhta aaghosh mein phir daman-e-sahil kyunkar dekhna lutf dam-e-qatl zara ai qatil khak-o-khun mein hua ghaltan tera bismil kyunkar zer-e-khanjar mere khun ne use ud kar thama us ke panje se chhute daman-e-qatil kyun kar dekhna gar ho to aao main dikha dun tum ko ban gaya shekh-e-haram but-kada-e-dil kyunkar raaz-e-sar-basta 'jamila' main kahun kya tujh se ho gaya mera ye dil aarif-e-kaamil kyunkar