ibtida sa kuchh intiha sa kuchh chal tamasha karen zara sa kuchh samne se ye kaenat hatao ho raha hai mughaalta sa kuchh sar-ba-sar hun salamti ke sar main hun raftar-o-hadisa sa kuchh ek khatra hai aane jaane mein is sara mein hai dusra sa kuchh chaak udhadta hai khak ukhadti hai koi hota hai runuma sa kuchh aur to kuchh nahin hai mitne ko main hi main hun bana bana sa kuchh ye sarakte hue zamin pe log ye gunah sa kuchh aur gila sa kuchh waqt par aag waqt par pani zindagi bhar ka tajraba sa kuchh jo na tera hai aur na mera hai phir wo kya hai tera mera sa kuchh jab khuda sa koi nahin to kyun masala ban gaya khuda sa kuchh