ishq ko kashf kiya husn ka qail hua main aur phir apne liye kalma-e-baatil hua main ras aati nahin ab mere lahu ko koi khak aisa is jism ka paband-e-salasil hua main sare asrar-e-fana khulte rahe subh talak raat aaina-e-hasti ke muqabil hua main aur phir meri khamoshi mein bhanwar padne lage dam-e-rukhsat teri aawaz ka sahil hua main sahl karta raha jitna bhi mujhe mera adam kar-e-hasti ki tarah utna hi mushkil hua main