sahra ka har bagula mujh par lapak raha tha khud apni justuju thi so main bhatak raha tha ye bar-e-jism aakhir main ne utha liya hai aaza chatakh rahe the aur main bhi thak raha tha mujh mein kisi ki surat kya gul khila rahi thi bahar se hans raha tha andar sisak raha tha ye meri khamushi bhi le jaegi kahan tak main aaj sirf us ki aawaz tak raha tha kamre mein ek udasi kaisi mahak rahi thi aankhon se ek aansu kaisa chhalak raha tha