ishq ko pas-e-wafa aaj bhi karte dekha ek patthar ke liye ji se guzarte dekha past ghaaron ke andheron mein jo le jati hain wo udanen bhi to insan ko bharte dekha jabhi lai hai saba mausam-e-gul ki aahat barg afsurda hue shakhon ko darte dekha teri dahliz pe gardish ka guzar kya mani tujh ko jab dekha hai kuchh bante sanwarte dekha be-sada hi sahi par sang-e-sifat hain lamhe un ki aaghosh mein har shai ko bikharte dekha jo bhi biti sar-e-farhad pe biti 'najmi' kisi 'parwez' ko teshe se na marte dekha