har zakhm-e-dil se anjuman-arai mang lo phir shahr-e-pur-hujum se tanhai mang lo mausam ka zulm sahte hain kis khamushi ke sath tum pattharon se tarz-e-shakebai mang lo husn-e-talluqat ki jo yaadgar the mazi se aise lamhon ki ranai mang lo mango samundaron se na sahil ki bhik tum han fikr-o-fan ke waste gahrai mang lo samjho unhen jo dete hain ye mashwara tumhein nargis se hath jod ke binai mang lo wo so ke jyun hi utthen pahunch jao un ke pas aur un se inqalab ki angdai mang lo 'najmi' suna hai tum pe bhi mausam hai mehrban baad-e-sumum se kabhi purwai mang lo