ishq kya kya na raqib-e-sar-o-saman nikla tie collar ki jagah chaak-gareban nikla zikr patlun ka kya ek langoti bhi nahin qais taswir ke parde mein bhi uryan nikla us ne chappal se sar-e-rah tawazo kar di ab to arman tera ai dil-e-nadan nikla kis qadar jald hua marhala-e-aqd bhi tai sakht mushkil hai ki ye kaam bhi aasan nikla meri aahen hon ki aghyar ke cigarette ka dhuan jo teri bazm se nikla so pareshan nikla barak-allah ye ehsan kafan-choron ka sur phunkna tha ki main qabr se uryan nikla ek phata boriya ek jam-e-shikasta 'hashim' baad marne ke mere ghar se ye saman nikla