kya qahr tha 'hashim' jo na marta koi din aur karta teri rahmat ka tamasha koi din aur be-parda khawatin ki be-rah-rawi par bachchon ki tarah phut ke rota koi din aur har subh ko har sham ko makkhan ki dukan par makkhan ki milawat pe jhagadta koi din aur har gam mahilaon se takraata sadak par kahtin use jhunjhla ke sab andha koi din aur har roz unhen dur se aaina dikha kar rishaili mullaon pe hansta koi din aur milti na chara-gah-e-siyasat mein agar ghas maidan-e-zarafat mein tu charta koi din aur marta jo na 'hashim' to qasam zinda-dili ki hota teri duniya mein tamasha koi din aur