ishq marhun-e-hikayat-o-guman bhi hoga waqia hai to kisi taur bayan bhi hoga dil atiyya kahin karta to pareshan hoga khair o khubi se hi hoga wo jahan bhi hoga ek din dekhna ruk jaenge dariya sare ek din dekhna ye dasht rawan bhi hoga aap duniya ko mohabbat ki dawa bechte hain aap ke pas ilaj-e-gham-e-jaan bhi hoga ek din aa hi milenge mere bichhde hue log khatm ek roz to ye kar-e-jahan bhi hoga dil bhi waisa hi hai kaifiyyat-e-jaan hai jaisi haal badla to yahi raqs-kunan bhi hoga shiddat-e-hijr hai mahsus to hogi 'arshad' bojh sine pe agar hai to giran bhi hoga