jaan ka aazar hai bimari-e-duniya nahin zat tak mahdud ho jaen to kuchh khatra nahin ab hifazat jitni hai mahbus ho jaane mein hai khud ke bahar ghumne phirne ka ab mauqa nahin us se milna aabshaaron se guzarna tha magar khauf ka wo kaun sa tufan tha jo aaya nahin ab ke bichhde kab milenge ab ki bar ek ye sawal hum ne bhi puchha nahin us ne bhi batlaya nahin mo'atabar kitna bhi ho har wasta mashkuk hai jo tasawwur mein likha wo khat bhi pahunchaya nahin mujh mein ek bachcha jo muzmar hai bahut masrur hai in dinon duniya se us ka mutlaqan rishta nahin masala koi bhi ho 'arshad' muhit-e-ishq hai jo ghazal ka rah-rau ho rah se hatta nahin