ishq mehnat ka sila had se siwa mangta hai dil wo mazdur hai ujrat mein wafa mangta hai be-sabab sadkon pe aawara sa ek nanga badan koi diwana hai zakhmon ki qaba mangta hai wo kasafat hai hawaon mein ki dam ghut jae phir bhi jine ki har insan dua mangta hai tere is feal ka mafhum samajhna mushkil tu hai mukhtar magar meri raza mangta hai hum qalandar ki nazar aur kahin hoti hai hum nahin mangte wo shai jo gada mangta hai gher rakkha hai use waqt ke firaunon ne rah pani mein bana de wo asa mangta hai panw badhte nahin kuchle hue raston ki taraf tera 'maqsud' alag apni disha mangta hai