muztarib dil ki kahani aur hai koi lekin us ka sani aur hai us ki aankhen dekh kar hum par khula ye shuur-e-hukmarani aur hai ye jo qatil hain unhen kuchh mat kaho is sitam ka koi bani aur hai umr bhar tum shairi karte raho zakhm-e-dil ki tarjumani aur hai hausla tute na rah-e-shauq mein gham ki aisi mezbani aur hai muddaa izhaar se khulta nahin hai ye zaban-e-be-zabani aur hai aaine ke samne baitha hai kaun aaj manzar par jawani aur hai