ishq mein be-abru hona pada do hi din mein tum se tu hona pada thi ye kis ki aarzu jis ke liye tarik-e-sad-arzu hona pada lala-zar-e-sina han tere liye aankh hi ko aab-ju hona pada kin bala-noshon ka bazm-e-dahr mein shisha-o-jam-o-subu hona pada ta-ba-kai lun kaam sabr-o-zabt se aasman se du-badu hona pada ishq ka anjam rangin dekhiye ashk-e-sada ko lahu hona pada andalib-e-bagh-e-hasti ko 'amin' mubtala-e-rang-o-bu hona pada