jina hai agar tujhko KHugar ho tamanna ka

jina hai agar tujh ko khugar ho tamanna ka
andaz khalili hai maslak hai ye musa ka

be-ab-e-tamanna dil jazbaat se aari hai
manzar kabhi dekha hai sukhe hue dariya ka

mahbub hai mai-kash ko rindon ki baghal mein hai
lekin ye taqarrub hai baada hi se mina ka

tha jazb-o-kashish jis mein wo shama-e-tajalli thi
zaer koi kyunkar ho ab wadi-e-sina ka

chadhte hue suraj ke tewar kabhi dekhe hain
aaghaz hai aaina anjam-e-tamanna ka

islah ki duniya mein us dil ka khuda-hafiz
paida na hua jis mein ehsas hi tauba ka

sikha hai 'amin' main ne hatif se ghazal kahna
ye naghma-e-jaan-parwar hai bulbul-e-sidra ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close