ishq mein gham ke siwa koi khushi dekhi nahin zindagi shayan-e-lutf-e-zindagi dekhi nahin un khizan-saman bahaaron ko bahaaren kyun kahun kya kabhi main ne chaman ki dilkashi dekhi nahin uf wo aankhen marte dam tak jo rahi hain ashk-bar hae wo lab umr bhar jin par hansi dekhi nahin tak raha hun naza mein yun un ki surat bar bar zindagi mein jaise ye surat kabhi dekhi nahin wo dare mahshar-ba-daman talkhi-e-mahaul se jis ne un nazron ki shan-e-barhami dekhi nahin badh gaya hai kis qadar tarikiyon ka silsila ba-wujud-e-subh-e-raushan raushni dekhi nahin