main wo nahin ki zamane se be-amal jaun mizaj puchh ke dar-o-rasan ka tal jaun wo aur honge jo hain aaj qaid-e-be-samti wahi hai samt mein jis samt ko nikal jaun fareb kha ke junun aql ke khilaunon se khuda wo waqt na lae ki main bahal jaun mera wajud hai momi kahin na ho aisa kisi ki yaad ki garmi se main pighal jaun jo chahta hai ki pasti mein girte girte bachun nazar ka apni asa de ki main sambhal jaun