ishq mein jis ke ye ahwal bana rakkha hai ab wahi kahta hai is waza mein kya rakkha hai le chale ho mujhe is bazm mein yaro lekin kuchh mera haal bhi pahle se suna rakkha hai haal-e-dil kaun sunae use fursat kis ko sab ko is aankh ne baaton mein laga rakkha hai dil bura tha ki bhala kaam wafa ke aaya yar jaane bhi de is bahas mein kya rakkha hai ai saba aa ki dikhaen tujhe wo gul jis ne baaton hi baaton mein gulzar khila rakkha hai dekh ai dil na kahin baat ye us tak pahunche chashm-e-namnak ne tufan utha rakkha hai husn chahe jise hans bol ke apna kar le dil ne apnon ko bhi begana bana rakkha hai dil jo is bazm mein aata hai to jata hi nahin ek din dekhna diwana hua rakkha hai haal mat puchh mohabbat ka hawa hai kuchh aur la ke kis ne ye sar-e-rah diya rakkha hai intizam aisa ki ghatti hi nahin raunaq-e-bazm hum se kitne hain ki wade pe laga rakkha hai hosh to pahle hi kho aae the us mahfil mein ab agar jaen to phir dil bhi gaya rakkha hai tere aane ki khabar pa ke abhi se dil ne shikwe ko aur kisi din pe utha rakkha hai bar-ha yun bhi hua teri mohabbat ki qasam jaan kar hum ne tujhe khud se khafa rakkha hai dasht o dar khair manaen ki abhi wahshat mein ishq ne pahla qadam nam-e-khuda rakkha hai hijr mein ranj bhi karte hain pe itna bhi salim yar tu ne to ajab haal bana rakkha hai