phulon mein agar hai bu tumhaari kanton mein bhi hogi khu tumhaari us dil pe hazar jaan sadqe jis dil mein hai aarzu tumhaari do din mein gulu bahaar kya ki rangat wo rahi na bu tumhaari chatka jo chaman mein ghuncha-e-gul bu de gai guftugu tumhaari mushtaq se dur bhagti hai itni hai ajal mein khu tumhaari gardish se hai mahr-o-mah ke sabit un ko bhi hai justuju tumhaari aankhon se kaho kami na karna ashkon se hai aabru tumhaari lo sard hua main nim-bismil puri hui aarzu tumhaari sab kahte hain jis ko lailatul-qadr hai kakul-e-mushk-bu tumhaari tanha na phiro 'amir' shab ko hai ghat mein har adu tumhaari