ishq mein kaamyab aaenge ho ke khana-kharab aaenge jab bhi zulmat badhegi duniya mein har taraf inqalab aaenge khud pe itrana chhod de warna tujh pe ek din itab aaenge aap to ja rahe hain maikhane ja ke wapas janab aaenge khushbuon ke safir hain jo log le ke taza gulab aaenge kya pata tha wo apni aankhon mein bhar ke jam-e-sharab aaenge aaj phir jashn hai charaghon ka aaj wo be-naqab aaenge