wo jawani na rahi ab wo zamane na rahe

wo jawani na rahi ab wo zamane na rahe
ahd-e-hangam-e-mohabbat ke fasane na rahe

qadr-e-hasti thi mujhe bahr-e-inayat-e-butan
wo jo jine ke bahane the bahane na rahe

saz-e-barbat ki nawa hai na wo aawaz-e-tarab
gungunate the jinhen ab wo tarane na rahe

wo jo baithe the ghadi bhar ko meri mahfil mein
the jo do chaar mere yar-o-yagane na rahe

jazba-e-shauq-e-safar apni jagah hai lekin
na safina raha koi wo thikane na rahe

khosha-e-umr se girte rahe saat-e-giran
khosha-e-umr mein ab waqt ke dane na rahe

koi kahta tha taaruf mein meri turbat par
kucha-e-ishq ke 'sayyad' wo diwane na rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close