ishq mein kaamyab hota hai jis qadar jo kharab hota hai us ka jis par itab hota hai lakh mein intikhab hota hai husn jab be-naqab hota hai sara aalam hijab hota hai nigah-e-iltifat ko roko shauq-e-taskin kharab hota hai husn-e-sada-mizaj kya jaane dil jahan kaamyab hota hai ishq ka dusra jawab kahan ishq apna jawab hota hai zabt kije to ishq mein aksar zabt na-kaamyab hota hai un ko qaid-e-naqab se kya kaam jin ka jalwa naqab hota hai darmiyan husn-o-ishq ke 'afsun' ek nazuk hijab hota hai