gulshan-e-lala-zar kya mausam-e-KHush-gawar kya

gulshan-e-lala-zar kya mausam-e-khush-gawar kya
jis ki bahaar aap hain us ke liye bahaar kya

ruk to nahin gai kahin gardish-e-rozgar kya
tujh ko sukun se wasta ai dil-e-be-qarar kya

sina-e-dagh-dar dekh dida-e-ashk-bar dekh
dil ki mere bahaar dekh shoabada-e-bahaar kya

rah nai banae ja tez qadam uthae ja
shauq-e-talab badhae ja fikr-e-maal-e-kar kya

khauf hai phir na kuchh khatar ishq agar hai rahbar
ho ke qarib-tar guzar fitna-e-rozgar kya

ahl-e-chaman hi jab hamein bhul gae to ham-nashin
sahn-e-chaman ki yaad kyon tazkira-e-bahaar kya

shauq-o-talab ki rah mein manzil-e-ashk-o-ah mein
la na saki unhen to phir gardish-e-rozgar kya

qismat-e-gham badal gai dil ke nasib jag uthe
afsun ab un se kijiye shikwa-e-intizar kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close