ishq mein kya chaaragar paida kiya de ke dil dard-e-jigar paida kiya zulf chehre se hata kar aap ne jalwa-e-nur-e-sahar paida kiya garche apni jaan di farhad ne nam ulfat mein magar paida kiya is tarah us ne badhaya rabt-zabt rafta-rafta dil mein ghar paida kiya haal-e-dil wo ghaur se sunne lage jazb-e-ulfat ne asar paida kiya chot khai furqat-e-dildar ki hum ne patthar ka jigar paida kiya dil laga kar ho gae bimar-e-gham baithe baithe dard-e-sar paida kiya aaj tak rah-e-khuda mein kya diya yun to kafi mal-o-zar paida kiya hum ne apni aajizi se aakhirash dushmanon ke dil mein ghar paida kiya chaunk chaunk utthe wo khwab-e-naz se mere nalon ne asar paida kiya husn gar tujh ko kiya haq ne ata mujh ko bhi ahl-e-nazar paida kiya fitna-o-shar aadmi mein kyon na ho us ko jab haq ne bashar paida kiya mujh ko qudrat ne azal se dosto un ka manzur-e-nazar paida kiya umr bhar 'hajir' ba-juz husn-e-kalam kaun sa hum ne hunar paida kiya