ishq mein kya hathon se kisi ke daman-e-hasti chhut gaya shama koi khamosh hui ya koi sitara tut gaya khel rahi hai barq-e-tabassum phul se nazuk honton par jaaniye kis ki maut aai hai kis ka muqaddar phut gaya kaun tha ye bimar-e-mohabbat jis ki baalin par aa kar husn bhi dariya dariya roya ishq bhi sina kut gaya teri bhi taswir thi us mein is ka mujh ko rona hai warna dil ki hasti kya hai shisha tha so tut gaya sail-e-mohabbat ke tha muqabil dil ka habab-e-nazuk bhi lekin ye ab yaad nahin hai kab ubhra kab phut gaya ishq ne kaisi aafat dhai sab maikhane khali hain kaun-o-makan ki sari masti un aankhon mein kut gaya aah-e-mohabbat ka rishta tha nazuk se bhi nazuk-tar ab is ko kis tarah se joden tut gaya so tut gaya awwal awwal zauq-e-mohabbat tha masti-e-be-payan aakhir aakhir waqt wo aaya sahr-e-mohabbat tut gaya naz meri sarmasti ko kya kya tha sharab-o-saqi par us ki aankhon ko jo dekha hath se saghar chhut gaya raat kisi ki bazm mein go bedar tha main hushyar tha main lekin koi aankh bacha kar dil ki basti lut gaya