jalta charagh raat ki chaukhat pe chhod kar hum aasman se lae hain ek subh tod kar jaane meri kitab se kaise nikal gae rakkhe the us ki yaad ke safhat mod kar shayad hamare wasl ki surat nikal pade dekhenge aaj hath ki satron ko jod kar gum ho gae hain surmagin almariyon ke khwab aaya tha koi raat ke talon ko tod kar ek umr hum ne war di gham ki sabil par ek bund-e-ishq pa liya duniya nichod kar rahte hain hum to aaj bhi wahshat ke aas-pas han han wahi makan hai do galiyan chhod kar