ishq mein nai khauf-o-khatar chahiye jaan ke dene ko jigar chahiye qabil-e-aghosh sitam didgan ashk sa pakiza guhar chahiye haal ye pahuncha hai ki ab zoaf se uthte palak ek pahar chahiye kam hai shanasa-e-zar-e-dagh-e-dil us ke parakhne ko nazar chahiye sainkadon marte hain sada phir bhi yan waqia ek sham-o-sahar chahiye ishq ke aasar hain ai bul-hawas dagh ba-dil-e-dast basar chahiye shart saliqa hai har ek amar mein aib bhi karne ko hunar chahiye jaise jaras para gulo kya karun nala-o-afghan mein asar chahiye khauf qayamat ka yahi hai ki 'mir' hum ko jiya bar-e-digar chahiye