na gul-e-naghma hun na parda-e-saz main hun apni shikast ki aawaz tu aur aaraish-e-kham-e-kakul main aur andesha-ha-e-dur-daraaz laf-e-tamkin fareb-e-sada-dili hum hain aur raaz-ha-e-sina-gudaz hun giraftar-e-ulfat-e-sayyaad warna baqi hai taqat-e-parwaz wo bhi din ho ki us sitamgar se naz khinchun bajae hasrat-e-naz nahin dil mein mere wo qatra-e-khun jis se mizhgan hui na ho gul-baz ai tera ghamza yak-qalam-angez ai tera zulm sar-ba-sar andaz tu hua jalwa-gar mubarak ho rezish-e-sajda-e-jabin-e-niyaz mujh ko puchha to kuchh ghazab na hua main gharib aur tu gharib-nawaz 'asad'-ullah khan tamam hua ai daregha wo rind-e-shahid-baz