ishq mein soch ka rukh mod diya jata hai aur diwar se sar phod diya jata hai hijr de kar to sabhi mar diye jate hain hae wo shakhs jise chhod diya jata hai ek lamhe mein hue qaid zamane kitne waqt se waqt yahan jod diya jata hai ishq phir apni panahon mein use rakhta hai jis ko be-rahm-o-karam chhod diya jata hai ab zara sikh le khamosh takallum karna kasa-e-harf yahan tod diya jata hai