jab the kam-umr samajhdar nahin hote the

jab the kam-umr samajhdar nahin hote the
un dinon log adakar nahin hote the

ab to wo log bhi milne ko chale aate hain
baat karne ko jo tayyar nahin hote the

kuchh gharon mein koi rahta hi nahin tha afsos
kuchh gharon ke dar-o-diwar nahin hote the

baat karne mein koi khauf nahin hota tha
log yun milne se bimar nahin hote the

is tarah fath kiye kitne ilaqe hum ne
jang ke waste hathiyar nahin hote the

yun na ho aankh khule aur bichhad jaen hum
bas isi khauf se bedar nahin hote the

jin dinon khwab lutati thin ye aankhen 'arib'
un dinon itne kharidar nahin hote the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close