ishq mein tere koh-e-gham sar pe liya jo ho so ho aish-o-nishat-e-zindagi chhod diya jo ho so ho aql ke madrase se ho ishq ke mai-kada mein aa jam-e-fana wa be-khudi ab to piya jo ho so ho lag ki aag lag uthi pamba tarah sa jal gaya rakht-o-jud jaan-o-tan kuchh na bacha jo ho so ho hijr ki sab musibaten arz kin us ke ru-ba-ru naz-o-ada se muskura kahne laga jo ho so ho duniya ke nek-o-bad se kaam hum ko 'niyaz' kuchh nahin aap se jo guzar gaya phir use kya jo ho so ho