dil tak ho chaak tegh jo sar par lagaiye aashiq hun hath soch-samajh kar lagaiye chehre pe nazuki se na aae kahin gazand rukhsar se na aap gul-e-tar lagaiye saqi ke lutf-e-khas ki tazim hai zarur aankhon se jam-e-baada-e-ahmar lagaiye hai ji mein bahr-e-nur-e-nigah us ki khak-e-pa surma ki ja agar ho mayassar lagaiye ye dil mein hai ki chhod ke 'raunaq' jahan ko kuche mein us nigar ke bistar lagaiye